Duinya ka sabse bada Search Engine GOOGLE Kaise Bana
Dosto aaju me aapko bataunga ki sabse bade search engine google ke bare me ki ye kaise bana . google ek internet business technology company hain . google ko larry page aur sarje brain ne banaya tha , dosto jis time inhone is popular search engine ko banaya tha us waqt halat alag the ,1990 ke time yahoo aur lycos jaise search engine pehle se hi bahut popular the . lekin yahoo aur lycos me wo baat nahi thi jo larry aur sarje ke dimaag me chal raha tha .larry aur sarjechahte the ki wo ek aisa search engine banaye jisme search karte hi poularity ke hisaab se result mile taaki search karte hi pehle page ke 10 result me hi logo ko unki jaankaari mil jaaye .
In logo ne is technology ko ka naam pagerank rakha aur 1996 me “backrub” naam ka search engine bana liya . 1988 tak inhone 2.5 crore webpage ka database ready kar liya . august 1998 me larry page aur sarje ki mulaaqat sun microsystem ke co-founder se hui , laary page aur sarje ne apna plan samne rakha , inke is idea ko sunkar unhone 1 lakh dollar ka check google ke naam se kaat diya , ab aap jara sochiye ek aise company ke naam pe check kat jo abhi bani nahi thi .
Aur is check ko bhunane ke liye 4 september 1998 ko larry aur sarje ne google naam se company ko asthaapit kiya aur iske naam se bank me account khola . aur tab shuruwaat hui google.inc ki . shuruwaat me larry aur sarje iska naam ‘backrub’ hi rakhna chahte the lekin fir isse massage parlour ka doubt ho sakta tha.
Google search engine banate waqt larry aur sarje satinfoard university me p.hd kar rahe the . iske vajh se unki padhai me problem aa rahi thi , iske liye wo ise bechna chahte the , isliye unhone excite ke CEO Jeorge bel ke saamne 10 lakh dollar me bechne ka prstaav rakha , lekin bel ne mana kar diya , wo is liye kyu wo iske future ko nahi dekh paaye.
August 2004 me google ne apne ko share market me list kiya 85 dollar me jaari share October 2007 me 700 dollar ke ho gaye . july 2000 me yahoo ka default search provider bana aur isi saal google ke paas 1 arab url index ho gaye . 2006 me google ne youtube kharid liya .
2007 me google ne mobile ke liye operating system ke liye android system banaya , jo bahut adhik popular hua , aaj android mobile ke market pe sabse adhik pakad hain . 2010 me nexus one smartphone bhi market me utara , 2010 me googleki income 29 arab thi .
“google का शब्द गुगोल से है ,जिसका मतलब है 1 के बाद 100 शून्य”
2006 nme oxford dictionary ne google word ko work ke rup me shaamil kiya .
Aaj google ke bahut se service hain jaise :-
Gmail , imagesearch , bloggers , google map , google earth , google+ , google translate , video chat . google ki sabse badi khaasiyat hain ki uska page bahut fast load hota hain kyu ki uske homepage pe koi image nahi hota .Dosto aapne dekha ki kaise ek chote se idea ne sabse badi companyio ko piche chor diya .
Aaj google duniya ka sabse bada search engine hain .
To main aasha karta hu ki ye article padh ke aap kuch alag aur naya karne ki koshis karenge .
No comments:
Post a Comment